Posts

Showing posts from October, 2018

anokha rishta

ch hoti si kali thi, jo khilne chali thi, kisi baag ki wo komal kali thi, na thi koi chhaya , na marham si kaya phir bhi kadi thi, wo khilne chali thi. phir ek roz ek Asha ki kaya aayi kiran banke jaise madhur geet chhaya thi kaya nurani or kirne ruhani badi khoobsoorat jaise pariyon ki raani mili jab kali se wo nurani kaya hawa bhi thi mehkti sugandhit si dhara khili wo kali phir kirnon ke jatan se aur aise khili jaise kaliyan chaman me tha madhurya itna is rishte ki kasak me jaise bheeni si khooboo mehki gagan me hai rishta anokha anokhi kahani jo meetha hai mishri sa aur sath nuraani bandha pyaar se ye bandhan humara jaise ganga ki behti wo pavitra dhaara jiska roop hai komal aur anant dhaara aisa hi hai ye rishta ha mara