anokha rishta

chhoti si kali thi, jo khilne chali thi,
kisi baag ki wo komal kali thi,
na thi koi chhaya , na marham si kaya
phir bhi kadi thi, wo khilne chali thi.

phir ek roz ek Asha ki kaya
aayi kiran banke jaise madhur geet chhaya
thi kaya nurani or kirne ruhani
badi khoobsoorat jaise pariyon ki raani

mili jab kali se wo nurani kaya
hawa bhi thi mehkti sugandhit si dhara
khili wo kali phir kirnon ke jatan se
aur aise khili jaise kaliyan chaman me

tha madhurya itna is rishte ki kasak me
jaise bheeni si khooboo mehki gagan me
hai rishta anokha anokhi kahani
jo meetha hai mishri sa aur sath nuraani

bandha pyaar se ye bandhan humara
jaise ganga ki behti wo pavitra dhaara
jiska roop hai komal aur anant dhaara
aisa hi hai ye rishta hamara


Comments

Popular posts from this blog

Is the Sanctity of Parliamentary Debate, Which Lies at the Core of Democratic Decision-Making, Being Compromised?

‘India had parliamentary institutions when people of Europe were mere nomads’

Dr. D.C. Wadhwa & Ors. vs. State of Bihar & Ors. case of 1986