The Mahatma Gandhi National Rural Employment Guarantee Act (MGNREGA)

The Mahatma Gandhi National Rural Employment Guarantee Act (MGNREGA) , introduced in 2005 by the Ministry of Rural Development , is one of the world's largest work guarantee programs.  It aims to strengthen livelihood security in rural areas by providing 100 days of assured wage employment each year to adult members of rural households willing to engage in unskilled manual labor. This initiative plays a vital role in promoting economic stability, empowering communities, and fostering sustainable development across India's rural landscape. The Mahatma Gandhi National Rural Employment Guarantee Act (MGNREGA) stands as a monumental testament to India's commitment to social welfare and rural empowerment. Enacted in 2005, this groundbreaking initiative has evolved into one of the most significant pillars of support for rural populations across the country. Imagine a program that guarantees 100 days of wage employment annually to adult members of rural households—this is not jus...

Rakshabandhan

Rakshabandhan  sirf ek dhage ka hi nahi balki ye wo rishta hai jisme ek behen apne bhai ko pyaar,dulaar,natkhat shaitaniya apne bhaai ke kalaii par  bandhkar  ek bhaii ko uske rakshak aur jimmedaar hone ka ehsaas karaati hai aur bhai  apni pyaari behna ko tohfa dekar uski raksha karne ka vachan deta hai...apni behen ki har muskuraahat aur khusi ka khayaal rakhta hai...bas inhi kuch sabdon ke saath mai itna kehna chaahti hoon ki bhaai aur behen me chahe kitne bhi jhagde kyun  na ho par behen ki ek cheekh par wahi bhaai daudkar uske paas malham lekar aata hai to wahi jab bhaai der tak ghar me nahi dikhta to uske aansuon me uski chintayein chalak hi aati hai.

Khair ...ye mere hi kuch bitaaye hue aise lamhe hain jo maine kabhi apne bhaai ke saath jiye the ..mera bhaai jiske saath me hamesha ladti ,jagadti thi...par ab wahi ladna jhagadna mujhe yaad aata hai aur phir mere aansuon me beh jaata hai,,,...
Mai jaanti hoon ki wo lamhe ab dobara kabhi nahi aayenge par tumhari yaad sirf rakshabandhan  me hi nahi balki har teej,tyohaar me aati hai har din har lamho me tumhara jikra hota hai...kehne ko bahut kuch hai...par kehna mushkil ho raha hai..jaane kaise tum achaanak hi hamein akela kar gaye..tumhare tasveer par har saal ki tarah is baar bhi teeka lagaungi aur taufe me ...bas dua karungi ki tumhara agla janam bhi mere bhaai ke roop me ho taaki is janam me jo hamari dosti me kamiyan thi mai use door kar sakun or tumhe phir hamse door kabhi  na jaane doon.tumhare bin parivaar ka ek hissa khaali ho gaya hai jiski kami hamesha hi hamein khalegi...kabhi -kabhi chupkar roti bhi hoon par mai apne aansuon  ko kisi ke saamne nahi aane deti kyounki  in aansuon se baaki ke log bhi toot jayenge...tumhari hamesha yaad aati rahegi...kash is jag ko alvida kehne se pehle tumne hamaare baare me socha hota to ...shaayad tumne hamare baare me jaroor socha hoga ..par shaayad tum is duniya ki berukhi aur uljhanon ko suljha nahi paaye...kaash tumne hamse baat ki hoti...to aaj tum hamare saath hote............
Tum hamesha hamari yadon me rahoge...

.....tumhari behen.......

Comments

Popular posts from this blog

Is the Sanctity of Parliamentary Debate, Which Lies at the Core of Democratic Decision-Making, Being Compromised?

‘India had parliamentary institutions when people of Europe were mere nomads’

Dr. D.C. Wadhwa & Ors. vs. State of Bihar & Ors. case of 1986