Aaj phir koi aaya hai.

Aaj phir koi aaya hai,chitthiyoun me sandesha laaya hai,
Kal ki beete baton ko  chaashni me doobokar laaya hai,
Feeki se muskanon me naya rang bikhraya hai,
Aaj phir koi aaya hai,chitthiyoun  me sandesha laaya hai,

Bichde panchiyon ke wo aahat,gujre geeton ki wo chaahat,
Lambe raaston ke kahaniyan,khamosh dupehri ki rawaniyan,
Pedon ke sookhe patton ka sangeet,koyal ke koohoo wala pyara sa geet,
Gulmohar ke rangon ka saajo srangaar,garam thapedon wali hawaon ka saaj.,
Aaj phir koi aaya hai,chitthiyoun  me sandesha laaya hai.

Shaam ke hote hi dhoop ka chaa jana,baad dupehri bachchon ka khilkhilana,
Baraf ke golon ka thandak de jaana or shaam ke aaghosh me chalte chale jaana,
Meethi muskaan liye, chitthi to kholo koi,daakiya chitthi laaya hai muh se to bolo koi,
E -mail ke zamaane me chitthiyon ka aanand uthao ,or pad ke khat ka jawaab de aao,

Aaj phir koi aaya hai chitthiyon  me sandesha laya hai,
Sabdon ke rangon ka pyaar samete laaya hai,
bhoole -bisre  yadon ka ek tohfa le ke sang aaya hai.

Comments

Popular posts from this blog

Is the Sanctity of Parliamentary Debate, Which Lies at the Core of Democratic Decision-Making, Being Compromised?

‘India had parliamentary institutions when people of Europe were mere nomads’

Dr. D.C. Wadhwa & Ors. vs. State of Bihar & Ors. case of 1986