jabalpur

ye hai jabalpur, sanskaardhaani
sanskaaron ki sune hum nayi kahani
ye hai jabalpur
yahan sangmarmari vadiyon ka hai jahan
basti hai kayi sanskritiyan yahan
rishimuniyon ne jap-tap kiya yahan
pawan kar tapobhoomi naam diya
iski har jhalki kehti hai nayi kahaani
ye hai jabalpur sanskaardhaani
sanskaaron ki sune yahan nahi kahani
ye hai jabalpur
veerangnaon ka gad bana yahan
durgawati ki sangraam ke nishan yahan
narmada ki pavitra dhara behti hai jahan
aisa pawan tapovan ki shila yahan
chosath yoginiyon ki chhaaya ka hai ye prateek
jisme sanskaaron ki khushboo har kan me basi
aise pawan tapovan hai bhoomi anoop
ye hai jabalpur.....
sangeet ki kaliyon ka hai ye chaman
basti hain kayi hastiyon ke nishan yahan
jinke anupam alokik chhavi hai nirali
Poojta jinko ye sara jahan
aise kalakaron ka hai gad ye vishal
jiski maya ke deewane ban jaate sab
ho koi badi hasti ya koi navaab
aise bhoomi ki kaya ka na koi jawab
ye hai jabalpur sanskaardhaani
sanskaaron ki sune yahan nayi kahaani
ye hai jabalpur, jabalpur, jabalpur...

Comments

Popular posts from this blog

Is the Sanctity of Parliamentary Debate, Which Lies at the Core of Democratic Decision-Making, Being Compromised?

‘India had parliamentary institutions when people of Europe were mere nomads’

Dr. D.C. Wadhwa & Ors. vs. State of Bihar & Ors. case of 1986